Jhoot Mein Barakat Nahi Hoti – इम्तियाज़ की सच्ची कहानी Real Life Lesson from Peshawar

2 months ago
16

Kehte hain… rizq Allah deta hai,
magar barakat sirf sach aur halal mein hoti hai.

Yeh kahani hai Imtiaz ki — aik chhote dukaan daar ki,
jiski dukan chhoti thi, lekin rozi mein sukoon aur barkat thi.

Lekin phir ek din, sirf mazaak mein keh diya:
“Allah gawah hai… yeh to loss mein de raha hoon”
Jab ke asal mein jhoot bol raha tha.

Aur usi din se, rozi ruk gayi… rehmat chali gayi.
Khaali dukan, udaas chehra, aur dil mein bechaini…

Phir aik fakir aya… aur sirf aik jumla keh gaya:
🕊️ “Jhoot mein Allah ka naam lena… barakat chheen leta hai.”

Wahi lafz, uske dil tak utar gaya…
Astaghfirullah kaha, tauba ki… aur sab kuch wapas aa gaya.

💔 Aaj ki kahani yaad dilayegi ke jhoot chhota ho ya bara — agar Allah ka naam lo, to zameer saaf rakho.
🕌 Rizq halal ho to chhoti dukan bhi jannat lagti hai.

Loading comments...