Ayyam e Fatimiyya Noha | Tumhare Nabi Ki Beti Hun | Subbaib Abidi | Bibi Fatima Noha

5 months ago
4


To Support Mawaddat Production
https://www.patreon.com/MawaddatProduction
----------------------------------------------------------------------------------

Ayyam e Fatimiyya Noha | Tumhare Nabi Ki Beti Hun | Subbaib Abidi | Bibi Fatima Noha

Tumhare Nabi Ki Beti Hun
Noha bibi Fatima
Subbaib Abidi
Nauha Hazrat Fatima

Nabi ke baad ye Kehti theen Fatima Zahra (sa)
Poet: Maulana Hasan Raza Banarsi
Noha Khwan: Syed Subaib Abidi
Audio: Albaqei Studio (Tirmah Zaidi)
Video: MA Records
Produced By: Mawaddat Production
2023 Mawaddat Production. All rights reserved.
----------------------------------------------------------------------------------

Keep visiting for more updates:
Youtube: https://www.youtube.com/@MawaddatProduction
Instagram: https://www.instagram.com/MawaddatProduction
X (Twiter): https://www.Twitter.comMawaddatOnX

ـــــــــــ نوحہ ـــــــــ
نبی کے بعد یہ کہتی تھیں فاطمہ زہرا
اے کلمہ گویو ! تمہارے نبی کی بیٹی ہوں

میں فاطمہ ہوں جلاؤ نہ میرا دروازہ
اے کلمہ گویو ! تمہارے نبی کی بیٹی ہوں

مرے گواہوں کو ٹھکرا رہے ہو اے لوگو
غضب ہے تم مجھے جھٹلا رہے ہو اے لوگو
رسول پاک نے مجھ کو کہا ہے صدیقہ
اے کلمہ گویو ! تمہارے نبی کی بیٹی ہوں

میں وہ ہوں جس کا نبی احترام کرتے تھے
مجھے خود آ کے پیمبر سلام کرتے تھے
خطاب ام ابیھا کا میں نے ہی پایا

اے کلمہ گویو ! تمہارے نبی کی بیٹی ہوں

میں اپنا منہ ابھی اشکوں سے دھو نہیں پائ
ابھی میں بابا کو جی بھر کے رو نہیں پائی
خدا کے واسطے مجھ کو نہ دو نیا صدمہ

اے کلمہ گویو !

تمہارے ظلم سے میری کمر خمیدہ ہے
سفید بال ہیں پہلو میرا شکستہ ہے
یہ کس طرح مجھے پرسہ دیا ہے بابا کا

اے کلم گویو !

طرح طرح سے مجھے روز کیوں ستاتے ہو
رسول زادی کو تم خون کیوں رلاتے ہو
نبی نے کیا یہی امت سے اجر مانگا تھا
اے کلمہ گویو !

ضعیفی چھاگئ اٹھارہ سال میں مجھ پر
مرا یہ حال ہے چلتی ہوں اب عصا لیکر
بتاو کس کو سناؤں میں درد کا قصہ

اے کلمہ گویو !

رسول پاک کی بیٹی کے دشمن جاں ہو
یقین ہی نہیں آتا کہ تم مسلماں ہو
تمہارے دل میں نہیں ہے ذرا بھی خوف خدا

اے کلمہ گویو۔۔

ورم ہے بازو پہ سینے میں درد محسن ہے
اب ایسا لگتا ہے جینا بھی غیر ممکن ہے
میرا یہ حال جو دیکھینگے روئینگے بابا

رضا یہ سوچ کے دل میرا پھٹ نہ جائے کہیں
نبی کی بیٹی پہ کیا ظلم ڈھا رہے تھے لعیں
کہ کلمہ گویو، سے بنت نبی کو کہنا پڑا
اے کلمہ گویو ! تمہارے نبی کی بیٹی ہوں

**Roman Urdu**

Fatima Zahra...×4
Nabi ke bad ye kehti thi Fatima zahra..×2
Aye kalma goyo tumhare Nabi ki beti hun
SAIYYADA...
Nabi ke bad ye kehti thin Fatima Zahra...×2

1)Mere gawahon ko thukra rahe ho aye logo
Ghazab hai tum mujhe Jhutla rahe ho aye logo
Rasool e Pak ne mujh ko, kaha hai siddiqa
Aye kalma goyo tumhare Nabi ki beti hun....
Nabi ke bad ye kehti thin Fatima Zahra....×2

2)Main vo hun jis ka Nabi ehtram karte the
Mujhe khuda ke payamber Salam karte the
Khitab umme Abeeha ka, maine hi paya
Aye kalma goyo tumhare Nabi ki beti hun
Nabi ke bad ye kehti thin Fatima Zahra×2

3)Main apna munh abhi Ashqon se dho nahi payi
Abhi main Baba ko jee bhar k Ro nhi payi
Khuda ke waste mujh ko na do, Naya sadma
Aye kalma goyo tumhare Nabi ki beti hun
Nabi ke bad ye kehti thin Fatima Zahra×2

4)Tumhre zulm se Meri qamar khameeda hai
Safed baal hain pehlu mera shikasta hai
Ye kis tarah mujhe pursa Diya hai, Baba ka
Aye kalma goyo tumhare Nabi ki beti hun
Nabi ke baad ye kehti thin Fatima Zahra ×2

5) Tarah Tarah Se Mujhe Roz kyun sunate ho
Rasool zadi ko tum khoon kyun rulate ho
Nabi ne kya yahi ummat se, Ajr manga tha
Aye kalma goyo tumhare Nabi ki beti hun
Nabi ke baad ye kehti thin Fatima Zahra ×2

6) Aur Zaeefi cha gayi 18 saal mein mujh par
Mera ye haal hai chalti hun ab Asa lekar
Batao kis ko sunaun main dard ka, qissa
Aye kalma goyo tumhare Nabi ki beti hun
Nabi ke baad ye kehti thin Fatima Zahra ×2

7)Rasool e Pak ki beti k dushmane Jan ho
Yaqeen hi nahi aata k tum musalman ho
Tumhare dil mein nahi hai Zara bhi, khaufe khuda
Aye kalma goyo tumhare Nabi ki beti hun
Nabi ke baad ye kehti thi Fatima Zahra ×2

8)Varam hai bazu pe seene mein dard e mohsin hai
Ab aisa lagta hai jeena bhi ghair mumkin hai
Mera ye haal jo dekhenge, royenge Baba
Aye kalma goyo tumhare Nabi ki beti hun
Nabi ke baad ye kehti thi Fatima Zahra ×2

9)Raza ye soch ke Dil mera phat na Jaye kahin
Nabi ki beti pe kya zulm dha rhe the laeen
Ke kalma goyo se Bint e Nabi ko kehna pada
Aye kalma goyo tumhare Nabi ki beti hun
Nabi ke baad ye kehti thin Fatima Zahra ×2

Loading comments...