lahori chanay recipe, lahori chanay with masoor dal, lahori cholay

8 months ago
5

lahori chaney
Chholay 1 piyali
Tail 1 piyali
Piyaz 2 adad
Tamater 3 adad
Haldi 1 chaye ka chamach
Garm masla 1 chaye ka chamach
Safaid zeerah 1 chaye ka chamach
Adrak aur lehsan ka paste 1 khanay ka chamach
Adrak 1 khanay ka chamach
Laal mirch 1 khanay ka chamach
Meetha soda ½ chaye ka chamach
Masoor ki daal 2 khanay k chamach
Namak hasb e zaiqa
Chicken cube 1 adad
Banane ki tarkeeb

1 degchi main 1 piyaali tail garam kar k 2 adad bareek kati piyaz golden brown karia aur chicken k 14 daal kar paani khuskh kar lain.
Ab is main adrak aur lehsan ka paste, haldi, pisi laal mirch, pisa garm masala aur hasb e zaiqa namak shamil kar k halka bhoon lain.
Phir ek piyaali bheegay hoye chano ka paani nikal kar dobara 3 sy 4 glass paani aur masoor ki daal dal kar halki anch par pakain.
Jab is main ubaal ajaye to adha chaye ka chamcha meetha soda shamil kar dain.
Phr chholay galny aur daal k sath yakjaan honay k baad cholah band kardain.
Isky baad chicken k tukro main tamatr kaat kar shamil kar dain aur halka sa bhoon kar do piyali pani daal dain.
Jab josh ajaye to is main chholay, bareek kati adrak, chicken cube aur safiad zeerah daal kar halki anch per dam per rakhain.
Jab tail oper ajaye to taiyar murg chholay garm garm naan k sath serve karain.

Loading comments...