Alvida Alvida Ya Hussain Alvida | Zeeshan Haider Noha

9 months ago
16

Alvida Alvida Ya Hussain Alvida | Zeeshan Haider Noha Lyrics:

alvida alvida ya shaheed e bekhata yaad e dasht e nainawa shahe karbala,
alvida alvida ali akbar alvida,
alvida alvida ali qasim alvida,
alvida alvida aun muhammad alvida,
alvida alvida ali asgar alvida,
alvida alvida ya abbas alvida,
alvida alvida ya shahide bekhata naaze dashte nainava x3

kar kabul behen ka salam ya hussain
qaid hoke ja rahi hu sham ya hussain
dil me teri yaad hai
ya hussain, ya hussain
dil me teri yaad hai
aasra sajjad hai
saath ibne saad
hai mai hu berida
alvida alvida ya shahide bekhata naaze dashte nainava shahe karbala.

khatm ho gaye hai sare aasre akbar o abbas mere na rahe.
qatilo ki bheed hai humari har taraf
jane ko tayyar ab hai qaidiyo ki saf
ibne shahe buturab
ya hussain, ya hussain
ibne shahe buturab
ho gayi hu behijab
laut aau kaamyaab de mujhe dua
alvida alvida ya shahide bekhata naaze dashte nainava shahe karbala.

kya sunau dard-e-fakhre panjatan chahe maine lakh hai kiye jatan
mai rida-e-innama bacha nahi saki
bhai teri lash pe mai aa nahi saki
aag thi qayam me
ya hussain, ya hussain
aag thi qayam me
jinme do imam the
bacche tishnakam the aati kis tarah
alvida alvida ya shahide bekhata naaze dashte nainava.

ab na jaae tera begunah lahu
jaarahi hu isliye mai kubaku
jaake mai bataungi tu bemisaal hai
tu baqaae deen hai tu lazawal hai
shahe benawa hai tu
ya hussain, ya hussain
shahe benawa hai tu
ruhe lailah hai tu
fakhre ambiya hai tu naaze kibriya
alvida alvida ya shahide bekhata naaze dashte nainava.

mai na rukne dungi tera gham hussain
mai na jhukne dungi ye alam hussain
ahd jo kiya hai wo nibhake aaugi
mai husainiyat ko yu bachake aaungi
hashr tak rahega tu
ya hussain, ya hussain
hashr tak rahega tu
is tarah jiyega tu
aake khud kahega tu behan shukriya
alvida alvida ya shahide bekhata naaze dashte nainava shahe karbala.

chodkar chala jo dasht-e-karbala
malka-e-haya ka qaidi qafela
boli roke shah se ye dukhtare imran
tashnalab gharib bhai mai tere qurban
dil ghamo se choor hai
ya hussain, ya hussain
dil ghamo se choor hai
aur sham door hai
jana bhi zaroor hai bhai alvida
alvida alvida ya shahide bekhata naaze dashte nainava shahe karbala.
#AlvidaAlvidaYaHussainAlvida

Loading comments...