🎶 Kyun - Talha Anjum feat. Annural Khalid | Prod. Umair

1 year ago
44

#talhaanjum #annuralkhalid #Kyun #umair
Kyun - Talha Anjum feat. Annural Khalid | Prod. Umair-

Written and performed by Talha Anjum & Annural Khalid
Produced by Umair
Mixed & Mastered by Jokhay

Original Video: https://youtu.be/EOa8UmVhw0c?si=O-vzdFWglqQ0pgZw

Lyrics :
[Hook: Talha Anjum]
Tu aya nahi kyun?
Sadiyo se lambay hain lamhay yahan kya karu?
Aahat pe teri mein neend se bhi uth paru,
Sab kuch bhula kar mein yaadein samaita karu,
Phir tere sirhanay mein baarish mein bheega karu.

[Verse: Annural Khalid]
Mil k bhi tu na mera,
Hai na yakeen ab tera,
Yaadon mein khoya hai dil ye roya hai tujh ko dhoonda tha bewaja.
Janay ye aalam hai kesa,
Aaye ga kesay sawera,
Tanhai aisi hai mujh se kehti ye tujh ko phir se loon bula.
Tu na janay tere bin mein,
Kesay pal hain ye guzaaray,
I mean I’m sorry for the heartbreak,
You know we never should’ve parted.
(Wish we could) Go back to the better days,
Terey haath mein ho haath and I’m feelin great,
Per hain alag saray raastay,
Ghalti na ye meri na ye teri hai

[Hook: Talha Anjum]
Tu aya nahi kyun?
Sadiyo se lambay hain lamhay yahan kya karu?
Aahat pe teri mein neend se bhi uth paru,
Sab kuch bhula kar mein yaadein samaita karu,
Phir tere sirhanay mein baarish mein bheega karu.

[Verse: Talha Anjum]
It’s been a while,
Tum waqt ke na qail.
Dil ki dewaaro ko deemak ki tarah fikar teri khaye,
That wasn’t a goodbye tum phir bhi na laut ke ayi,
Qalam uthayi phir mein ne aur likhi jo humne bitai,
Tere se pehle bhi tha kuch, tere baad bhi hu,
Tere saath tha jo wo dafan kar chuka apni zaat mein hu,
Aik laash hai bas, thori si yaad hai bas,
Aik adha qissa jis mein di jaati apni misaalein bas,
Malaal hai bas, tu aya nahi kyun,
Mein tou aya sun’ne wo geet tera tu ne gaya nahi kyun?
Khushi mein shamil raho meri mein gham mein bulata nahi hu,
Mein maaf kardeta hu lekin mein bhulata nahi hu,
Khuda ne de ke bhi, aur le ke bhi kiya imtihaan mera,
Mein tou sab keh ke bhi, na keh ke bhi jaana bezubaan raha,
Sab tou luta aye, yaad he teri mera samaan raha,
Sadiya’n guzari ke nai tere intizaar mein tu ye bata.

[Hook: Talha Anjum & Annural Khalid]
Tu aya nahi kyun?
Sadiyo se lambay hain lamhay yahan kya karu?
Aahat pe teri mein neend se bhi uth paru,
Sab kuch bhula kar mein yaadein samaita karu,
Phir tere sirhanay mein baarish mein bheega karu.

#talhaanjum #annuralkhalid #umair #urdurap #kyun #vibesat3am

Like, Share, Subscribe to our Channel, and stay updated with new uploads

Disclaimer:
Copyright Disclaimer Under Section 107 of the Copyright Act 1976 allowance is made for "fair use" for purposes such as criticism, comment news reporting, teaching scholarship, and research. Fair use is a use permitted by copyright statute that might otherwise be infringing. Non-profit educational or personal use tips the balance in favor of fair use.

Loading comments...