Daal Maash In My Style | Daal Maash bananay ka Tareeka | @FABsCooking ​

11 months ago
8

Daal Maash In My Style | Daal Maash bananay ka Tareeka | @FABsCooking

#cooking #quickrecipe #pressurecooker #daal #fab #easyrcipe #maashkidaal

Recipe In Urdu : (Banany Ka Tareeka)

Adhaa kilo maash ki daal ko taazay paani mein 30 minute Kay liye bhigo den..
Aik pressure cooker mein 2 khanay kay chamach oil len aur usme sabit masaly shamil Karen Jin me:
2 adad badyaan k phool
2 sticks daarcheeni
1kari patta
1chaye ka chamach zeera shami hain
Ab isme aik adad tamatar ko chop Kar k isme shamil karlen
sary masalon ko 2 se 3 minute Kay liye pakaen
Ab iss me baqi Kay masalay shamil Karen.jin me :
taste kay mutabiq Namak
1 chaye ka chmach Laal mirch ka powder
adhaa chaye ka chamach Haldi
1 chaye ka chamach Zeera
1 chaye ka chamach Kasuri Methi
2 adad Sabz Mirch shamil karden....
Ab in sab masalon ko achi Tarah mix Karen aur 2 se 3 minute kaylige pakaen...phir bhigo Kay rakhi hui daal ko shamil karden aur bohat halkay hàth se mix Karen taa k daal tootay nah..
Ab isme aik chota glass pani ka shamil karden... yaad rahay kay chota glass pan ki miqdaar adhaa kilo daal kay liye hai...
Ab is ko 10 minute Kay liye Pressure laga den aur 10 minutekay baad aanch band karden...
mazydaar daal maash Pressure Cooker mein banaen aur dhahiya aur sabz mirch kay sathservekaren...Khamenei roti yaanaan kay sath enjoy Karen....
recipe pasand anay per mere channel ko like,share aur subscribe zaroor karden....
shukriya 😃 😊 😀 😄

#cooking #quickrecipe #pressurecooker #daal #fab #easyrcipe #maashkidaal

Loading comments...