131-Qur'an Class : Surat Al-Anfal (Ayat No. 43 to 62) ki TAFSEER By Engineer Muhammad Ali Mirza

1 year ago
173

#SOHAILBUTT7444#MALIMIRZA7444
#https://rumble.com/c/c-3966384

00:00 || Khutbah Aur Durood

02:57 || Ayat 43 - aur ( aey payghumber ! ) woh waqt yaad kero jab Allah khuwab mein tumhen unn ( dushmanon ) ki tadaad kam dikha raha tha ,

06:14 || Ayat 44 - aur woh waqt yaad kero kay jab tum aik doosray kay madd-e-muqabil aaye thay to Allah tumhari nigahon mein unn ki tadaad kam dikha raha tha ,

07:55 || Ayat 45 - aey emaan walo ! jab tumhara kissi giroh say muqabla hojaye to sabit qadam raho , aur Allah ka kasrat say ziker kero..

08:46 || Ayat 46 - aur Allah aur uss kay Rasool ki itaat kero , aur aapas mein jhagrra naa kero , werna tum kamzor parr-jao gay , aur tumhari huwa ukhar jaye gi .

12:53 || Ayat 47 - aur unn logon ki tarah naa hojana jo apney gharon say akartay huye , aur logon ko apni shaan dikhatay huye niklay thay ,

15:41 || Ayat 48 - aur woh waqt ( bhi qabil-e-ziker hai ) jab shetan ney unn ( kafiron ) ko yeh sujhaya tha kay unn kay aemal baray khushnuma hain ,

18:43 || Ayat 49 - aur yaad kero jab munafiqeen aur woh log jinn kay dilon mein rog tha , yeh keh rahey thay kay :

20:08 || Ayat 50 - aur agar tum dekhtay ( to woh ajeeb manzar tha ) jab farishtay unn kafiron ki rooh qabz ker rahey thay ,

21:12 || Ayat 51 - yeh sabb kuch unn aemal ka badla hai jo tum ney apney haathon aagay bhej rakhay thay ,

26:56 || Ayat 52 - ( inn logon ka haal aisa hi huwa ) jaisa firon ki qoam aur unn say pehlay logon ka haal huwa tha . unhon ney Allah ki nishaniyon ko manney say inkar kiya ,

27:46 || Ayat 53 - yeh sabb kuch iss liye huwa kay Allah ka dastoor yeh hai kay uss ney jo naimat kissi qoam ko di ho ,

29:15 || Ayat 54 - ( iss moamlay mein bhi unn ka haal ) aisa hi huwa jaisa firon ki qoam aur unn say pehlay logon ka haal huwa tha …

31:04 || Ayat 55 - yaqeen jano kay Allah kay nazdeek zameen per chalney walay jaan daaron mein bad-tareen log woh hain jinhon ney kufr apna liya hai ,

33:12 || Ayat 56 - yeh log woh hain jinn say tum ney ehad ley rakha hai , iss kay bawajood yeh her martaba apney ehad ko torr detay hain , aur zara nahi dartay .

33:29 || Ayat 57 - lehaza agar kabhi yeh log jang mein tumharay haath lagg jayen to , inn ko saman-e-ibrat bana ker unn logon ko bhi tittar-bittar ker daalo jo inn kay peechay hain ,

34:00 || Ayat 58 - aur agar tumhen kissi qoam say bad-ehadi ka andesha ho to tum woh moahida unn ki taraf saaf seedhay tareeqay say phenk do .

36:09 || Ayat 59 - aur kafir log hergiz yeh khayal bhi dil mein naa layen kay woh bhag niklay hain .

36:47 || Ayat 60 - aur ( musalmano ! ) jiss qadar taqat aur ghorron ki jitni chaoniyan tum say ban parren , unn say muqablay kay liye tayyar kero , ..

44:35 || Ayat 61 - aur agar woh log sulah ki taraf jhuken to tum bhi uss ki taraf jhuk jao , aur Allah per bharosa rakho ...

54:08 || Ayat 62 - aur agar woh tumhen dhoka denay ka irada keren gay to Allah tumharay liye kafi hai .

#QuranClass #Tafseer #EngineerMuhammadAliMirza

Loading comments...