Mujhe Nahi Pata Hai

1 year ago
20

Lyrics:
Barish Ho Rahi Bahir Or Me Kamre Me Akela
Andhera Bara Zaalim Mujhe Sone Nahi Dera
2 Ghante Se Likhne Kee Mein Koshish Hee Kar Raha Hu
Apne Ghar Ke Andar Ghar Bana Ke Betha Hu Mein Mera

Laazim Nahi Hai Mujh Pe Ke Me Sunu Sab Kee Baate Par Me Sun Leta Hu Kyun Ke Thora Naram Dil Jo Thera
Jaana Teri Yaade Mujhe Sone Hee Nahi Deti
Laite Laite Is Bistar Pe Kab Ho Jaata Hai Sawera

Mujhe Nahi Pata Hai Mujh Se Mat Poocho Na
Apne Khuwaab Poore Karne Ke Lie Sab Kho Dunga
Pehle Hee Sab Kho Chuka Hu , Ab Kya Khaak Kho Dunga?
Akelepan Me Lagta Hai Phir Se Poori Raat Ro Dunga

Mein Teri Yaad Me Asliyat Se Bhaag Ke
Jaunga Kaha Mein Mujhe Bas Bata De Aaj Ye
Zindagi Tamasha Jo Kamata Wo Uraata
Chand Bachata Kyun Ke Idhar Kaafi Pesh Hote Haadse

Aleem Kidhar Gayab Hogaye Ho?
Na Khud Se Karte Message Na Reply Dete Ho
Socially Inactive , Interactive Nahi Ho Zara Aise Nahi The Pehle Jaana Kya Se Kya Hogaye Ho Ayee

Kidhar Gayab Hogae Ho?
Dekhte Dekhte Duniya Kee Tum Vibe Hogaye Ho
Easily 2 Gaali De Kar Aa Sakte Tum Aage Par Tum Aana Nahi Chahte Bare Nice Hogaye Ho

Kab Se Meri Jaan
Jab Se Mile Zindagi Me Kuch Aise Insaan
Jin Kee Waja Se Badalna Para Khud Ko Mujhe Poora Bara Dikhne Ke Chakkar Me Wo Jatate The Ehsaan

Wo Bhi Baat Baat Pe (X2)
Ek Waqt Tha Kaafile Me Larkay 8 8 The
Ab 8 Minus 4 Mene 4 Kar Dia
Dhokebaazo Ko Circle Se Mene Bahar Kar Dia

Life Is Good When I Talk To My Self Daily Raat Me
Zehen Me Sawaal 36 Ghoome Teri Yaad Me
Gaining All This Money And I Am Getting All This Fame
Mujhe Dar Laga Rehta Hai Kahee Bhool Na Jau Aukaat Me

Nikal Na Jau Hath Se Phir Se Ek Or Baar Me
Aur Nahi Hai Himmat Ke Ab Sahu Ek Or Haar
Me
Masle Ye Zameen Pe Sulajh Nahi Rahe Mujh Se Or Ye Message Kar Ke Kehte Hai Aleemrk Tu Star Hai

Loading comments...