hum jo tarik rahon mein mare gae - Faiz Ahmad Faiz

1 year ago
9

tere hoñToñ ke phūloñ kī chāhat meñ ham

daar kī ḳhushk Tahnī pe vaare ga.e

tere hātoñ kī sham.oñ kī hasrat meñ ham

nīm-tārīk rāhoñ meñ maare ga.e

sūliyoñ par hamāre laboñ se pare

tere hoñToñ kī laalī lapaktī rahī

terī zulfoñ kī mastī barastī rahī

tere hāthoñ kī chāñdī damaktī rahī

jab ghulī terī rāhoñ meñ shām-e-sitam

ham chale aa.e laa.e jahāñ tak qadam

lab pe harf-e-ġhazal dil meñ qindīl-e-ġham

apnā ġham thā gavāhī tire husn kī

dekh qaa.em rahe is gavāhī pe ham

ham jo tārīk rāhoñ pe maare ga.e

nā-rasā.ī agar apnī taqdīr thī

terī ulfat to apnī hī tadbīr thī

kis ko shikva hai gar shauq ke silsile

hijr kī qatl-gāhoñ se sab jā mile

qatl-gāhoñ se chun kar hamāre alam

aur nikleñge ushshāq ke qāfile

jin kī rāh-e-talab se hamāre qadam

muḳhtasar kar chale dard ke fāsle

kar chale jin kī ḳhātir jahāñgīr ham

jaañ gañvā kar tirī dilbarī kā bharam

ham jo tārīk rāhoñ meñ maare ga.e

voiceoverpoetry1@gmail.com

Loading comments...