Farsh e naumidi e didar - Faiz Ahmad Faiz

1 year ago
6

dekhne kī to kise taab hai lekin ab tak

jab bhī us raah se guzro to kisī dukh kī kasak

Toktī hai ki vo darvāza khulā hai ab bhī

aur us sehn meñ harsū yūñhī pahle kī tarah

farsh-e-naumīdī-e-dīdār bichhā hai ab bhī

aur kahīñ yaad kisī dil-zada bachche kī tarah

haath phailā.e hue baiThī hai fariyād-kunāñ

dil ye kahtā hai kahīñ aur chale jaa.eñ jahāñ

koī darvāza abas vā ho, na be-kār koī

yaad fariyād kā kashkol liye baiThī ho

mahram-e-hasrat-e-dīdār ho dīvār koī

na koī sāya-e-gul hijrat-e-gul se vīrāñ

ye bhī kar dekhā hai sau baar ki jab rāhoñ meñ

des pardes kī be-mahr guzargāhoñ meñ

qāfile qāmat o ruḳhsār o lab o gesū ke

parda-e-chashm pe yuuñ utre haiñ be-sūrat-o-rañg

jis tarah band darīchoñ pe gire bārish-e-sañg

aur dil kahtā hai har baar chalo lauT chalo

is se pahle ki vahāñ jaa.eñ to ye dukh bhī na ho

ye nishānī ki vo darvāza khulā hai ab bhī

aur us sehn meñ harsū yūñhī pahle kī tarah

farsh-e-naumīdī-e-dīdār bichhā hai ab bhī

voiceoverpoetry1@gmail.com

Loading comments...